Maa
Maa - Taare Zameen Par
Lyrics: Prasoon Joshi
Music: Shankar-Ehsaan-Loy
Singer: Shankar Mahadevan
Listen here: http://www.musicindiaonline.com/music/hindi_bollywood/s/movie_name.9446/
Main kabhi batlaata nahin,
Par andhere se darta hun main maa.
Yun toh main dikhlaata nahin,
Teri parwaah karta hun main maa.
Tujhe sab hai pata, hai na maa?
Tujhe sab hai pataaaaaa, meri maa.
Bheed mein yun na chhodo mujhe,
Ghar laut ke bhi aa na paaun maa.
Bhej na itna door mujhko tu,
Yaad bhi tujhko aa na paaun maa.
Kya itna bura hun main maa?
Kya itna buraaaaa, meri maa.
Jab bhi kabhi papa mujhe,
Yun jor se jhoola jhulaate hain maa,
Meri nazar dhundhe tujhe,
Sochun yahi, tu aake thaamegi maa.
Un se main yeh kehta nahin,
Par main sehem jaata hun maa.
Chehre pe aane deta nahin,
Dil hi dil mein ghabraata hun maa.
Tujhe sab hai pata, hai na maa?
Tujhe sab hai pataaaaa, meri maa.
Main kabhi batlaata nahin,
Par andhere se darta hun main maa.
Yun toh main, dikhlaata nahin,
Teri parwaah karta hun main maa.
Tujhe sab hai pataa, hai na maa?
Labels: Maa lyrics
0 Comments:
Post a Comment
<< Home